Menu Close

Jeevan Se Bhari Teri Aankhen – SAFAR

   Dm
Jeevan se bhari teri aankhen
   G            C
Majboor kare jeene ke liye, jeene ke liye
             Dm
Saagar bhi taraste rahte hain
     G              C
Tere roop ka ras peene ke liye, peene ke liye
   Dm
Jeevan se bhari teri aankhen

G
Tasveer banaye kya koi
    C             G
Kya koi likhe tujhpe kavita
Rango chhando mein samayegi
                     C   G
Rango chhando mein samayegi
     D             C           G
Kis tarah se itnee   sundarta, sundarta
   Dm
Ek dhadkan hain tu dil ke liye
   G               C
Ek jaan hain tu jeene ke liye, jeene ke liye

Jeevan se bhari teri aankhen...

Madhuban ki sugandh hain saanson mein
Baahon mein kamal ki komalta
Kirnon ka tej hai chehre pe
Kirnon ka tej hai chehre pe
Hirnon ki hai tujh mein chanchalta, chanchalta
Aanchal ka tere hain taar bahut
Koi chak jigar seene ke liye,seene ke liye

Jeevan se bhari teri aankhen...

Songwriter/Composer Indeevar, Kalyanji-Anandji
Album/Movie/Genre Safar


Like our Facebook page to stay in touch.

Search for Songs

Views: Today 1 | Total 19

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *