CHANGE THEME
SONGS
Hindi Malayalam EnglishOTHER PAGES
CommentsSONGLIST (Hindi)
G Em
Chhodo kal ki baatein, kal ki baat puraani
C D G
Nae daur men likhenge, mil kar nai kahaani
C G
Hum hindustani, hum hindustani
G
Aaj puraani zanjiron ko tod chuke hain
C G
Kya dekhen us manzil ko jo chhod chuke hain
G
Chaand ke dar par ja pahuncha hai aaj zamaana
C G
Nae jagat se ham bhi naata jod chuke hain
G Am D G
Naya khoon hai, nai umangen, ab hai nai jawaani
C G
Hum hindustani, hum hindustani
Ham ko kitane tajmahal hain aur banaane
Kitane hain ajanta ham ko aur sajaane
Abhi palatna hai rukh kitane dariyaaon ka
Kitane parbat raahon se hain aaj hataane
Naya khoon hai, nai umangen, ab hai nai javaani
Hum hindustani, hum hindustani
Aao mehanat ko apana imaan banaaen
Apane haathon se apana bhagavaan banaaen
Raam ki is dharati ko, gautam ki bhumi ko
Sapanon se bhi pyaara hindustaan banaaen
Naya khoon hai, nai umangen, ab hai nai javaani
Hum hindustani, hum hindustani
Har zarra hai moti, aankh uthaakar dekho
Mitti men sona hai, haath badhaakar dekho
Sone ki ye ganga hai chaandi ki yamuna
Chaaho to patthar pe dhaan ugaakar dekho
Naya khoon hai, nai umangen, ab hai nai javaani
Hum hindustani, hum hindustani
Movie/Album: Hum Hindustani
Lyrics: Prem Dhawan
Music: Usha Khanna
Language: Hindi
Original Scale: G Major
Views: 46 times
Today's Page Hits: 444
Total Page Hits: 27262
Today's Site Hits: 533
Total Site Hits: 35505
Leave a Comment
Comments
No comments yet. Be the first to comment!