Menu Close

Maine Tere Liye Hi Saat Rang Ke – ANAND

      D                         A
Maine tere liye hi saat rang ke sapne chune
   G            D
Sapne surile sapne

      A            D
Kuchh hanste kuchh gam ke
     G          A        D    G      A
Teri aankhon ke saaye churaye rasili yaadon ne
        D                         A
O Maine tere liye hi saat rang ke sapne chune
   G            D
Sapne surile sapne

D
Chhoti baatein
Chhoti chhoti baaton ki hain yaadein badi
G                         A
Bhoole nahi beeti huyi ek chhoti ghadi
D              C
Janam janam se ankhein bichhayin
G              A
Tere liye in rahon mein
        D                         A
O Maine tere liye hi saat rang ke sapne chune
   G            D
Sapne surile sapne

Roothi raatein
Roothi huyi raaton ko manaaya kabhi
Tere liye meethi subah ko bulaaya kabhi
Tere bina bhi tere liye hi
Diye jalaye aahon ne
O maine tere liye hi saat rang ke sapne chune
Sapne surile sapne

Bhole bhaale
Bhole bhaale dil ko behlate rahe
Tanhayi mein tere khayalon ko sajate rahe
Kabhi kabhi to awaaz dekar
Mujhko jagaya khwaabon ne
O maine tere liye hi saat rang ke sapne chune
Sapne surile sapne

O maine tere liye hi saat rang ke sapne chune
Sapne surile sapne
Kuchh hanste kuchh gam ke
Teri aankhon ke saaye churaye rasili yaadon ne
O maine tere liye hi saat rang ke sapne chune
Sapne surile sapne

Songwriter/Composer Gulzar, Saleel Chowdhury
Album/Movie/Genre Anand


Like our Facebook page to stay in touch.

Search for Songs

Views: Today 1 | Total 34

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *