Menu Close

Zindagi Ke Safar Mein – AAP KI KASAM

D            A
Zindagi ke safar mein
  G         A         D
Guzar jaate hain jo makaam
              Em
Woh phir nahi aate
A               D
  Woh phir nahi aate

D       A            D     A          D
  Phool khilte hain,   log milte hain
      A            D    A            D
Phool khilte hain,  log milte hain magar
   G                               D
Patjhad mein jo phool murjha jaate hain
      G                         D
Woh baharon ke aane se khilte nahi
Kuchh log ek roz jo bichhad jaate hain
      G                        D
Woh hazaron ke aane se milte nahi

Umra bhar chaahe koyi
Pukara kare unaka naam
Woh phir nahi aate
Woh phir nahi aate

Ankh dhokha hai, kya bharosa hai
Ankh dhokha hai, kya bharosa hai suno
Doston shaq dosti ka dushman hai
Apne dil mein ise ghar banane na do
Kal tadapna pade yaad mein jinki
Rok lo rooth kar unko jaane na do

Baad mein pyar ke
Chaahe bhejo hazaron salam
Woh phir nahi aate
Woh phir nahi aate


Subah aati hai, raat jaati hai
Subah aati hai, raat jaati hai yoon hi
Waqt chalta hi rehta hai rukta nahi
Ek pal mein yeh aage nikal jaata hai
Aadmi theek se dekh paata nahi
Aur parde pe manzar badal jaata hai
Ek baar chale jaate hain
Jo din-raat, subah-shaam
Woh woh phir nahi aate
Woh phir nahi aate

Zindagi ke safar mein
Guzar jaate hain jo makaam
Woh phir nahi aate
Woh phir nahi aate
 

Songwriter/Composer Anand Bakshi, R D Burman
Album/Movie/Genre Aap Ki Kasam


Like our Facebook page to stay in touch.

Search for Songs

Views: Today 1 | Total 41

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *