Menu Close

Chingari Koi Bhadke – AMAR PREM

F#m                        Bm  F#m
Hmm... Chingari koi bhadke

    F#m
Chingari koi bhadke
   Bm          Em
To sawan use bujhaye
  F#m           D
Sawan jo agan lagaye
                 F#m
Use kaun bujhaye
Ho use kaun bujhaye

Patjhad jo baag ujade
To baag bahar khilaye
Jo baag bahar ujade
Use   kaun khilaye
Ho use kaun khilaye

F#m
Humse mat puchho kaise
   Bm
Mandir toota sapno ka
  D
Logon ki baat nahi hai
   F#m
Ye kissa hai apno ka
Koi dushman thes lagaye
   Bm            Em
To meet jiyaa behlaaye
   F#m             D
Manmeet jo ghaav lagaye
                 F#m
Use kaun mitaaye
Ho use kaun mitaaye

Na jaane kya ho jata
Jane hum kya kar jate
Peete hai to zinda hai
Naa peete to mar jate
Duniya jo pyaasa rakhe
To madiraa pyaas bujhaye
Madiraa jo pyaas lagaye
Use kaun bujhaaye
Ho use kaun bujhaaye

Mana toofan ke aage
Nahi chalta jor kisi ka
Maujo ka dosh nahin hai
Ye dosh hai aur kisi ka
Majhdaar mein naiyya dole
To manjhi paar lagaye
Manjhi jo naav duboye
Use kaun bachaye
Ho use kaun bachaye

Chingari koi bhadke...

Songwriter/Composer Anand Bakshi, R D Burman
Album/Movie/Genre Amar Prem


Like our Facebook page to stay in touch.

Search for Songs

Views: Today 1 | Total 21

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Discover more from Restless Notes | Guitar Chords & Tabs

Subscribe now to keep reading and get access to the full archive.

Continue reading